SAD GHAZAL

1 Sad Ghazal - Dardbhari Ghazal - Sad Shayari



Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya

Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya

Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya

Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee
Hamne khusi se apko jane nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

'shahid' meri saada dilo ne khabhi mughe
Aena doosto ko dikhane nahi diya. 


2.  Urdu Shayari, Urdu Sher, Sad Sher


Janab Raji Riyaz saheb ne jo gazel
pesh ki wo nihayet hi kaabele tareef
her dil aziz hai. Per ker dil khush
ho gaya aur aah nikel gayi. Wah Janab
Masha Allah. Shaandar peshkesh. Shukriya.

" Wo zaher tumne muje diya,
wo jaher hi na raha,
Ki zindgi he zaher ho jaye to
koi kya kare"
Bahut Khoob.!

Kuch Shers Aapki Nazeer pesh e khidmet"

"Jo zaher pee chuka huin,
tumne mujhe diya,
ab tum to zindgi ki duain
Muje na do."

" Do he lafzon ka tha ye afsana,
jo suna ker khamosh ho baitha
Ibtada ye hai ki tum ko paya tha,
inteha ye hai ki khud ko kho baitha. "

" Sunao kisko afsana
na apna hai na begana,
Likha hai meri kismet,
main Jahan ki thokre khana."

Gujarish hai, nachij ke pesh kiye
sher per ke hausdla afjai kare.
Shukriya.

3.  Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal - Urdu Nazm



ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho

un dino mujpe qayamat ka junoon taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari thaa
maahpaaron se mohabbat ka junoon taari thaa
shehri yaaron se raqabat ka junoon taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard mein doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon
ab mein wo zazba-e-masoom kahan se laaoon..