DARD BHARE SHER

1. Kuch dard Bhare Sher

 dil mein hozaroorat to mohabbat nahi milti,
khairat mein itni badi daulat nahi milti.
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain,
har ek se to apni tabiyat nahi milti.
dekha tha jise maine koi aur tha shayad,
vo kaun hai jisse teri surat nahi milti.
haste huye chehron se hai baajar ki zannat,
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milti.

Gair ko dard batane ki zaroorat kya hai ,
Apne jhagde mein jamane ki jaroorat kya hai.
Zindagi vaise hi bahut kam hai mohabbat ke liye,
Roothkar waqt gawane ki zaroorat kya. 

 

 

 

 2.  WAQT NAHI

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi....... 

 

3. Sad Ghazal - Dardbhari Ghazal - Sad Shayari



Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya

Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya

Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya

Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee
Hamne khusi se apko jane nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

'shahid' meri saada dilo ne khabhi mughe
Aena doosto ko dikhane nahi diya.