Tuesday, September 28, 2010

Urdu Shayari - Urdu Sher-Urdu Funny Sher-o-Shayari - Hindi Shayari

1. Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal



jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena
ho sake to aisa bhi karna
bahut dinon tak ilzaam na dena

thoda pyaar bhi yaad rakhna
thodi muskaane bhi
aye mere haseen dost
mujhko sirf ilzaam na dena

teri yaad pal pal sataayegi
phir zindagi is patte ko udaa le jaayegi
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

kaash kuch din aur hote kismat mein
kaash main adna insaan na hota
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

tera dard ab na baat paoonga
teri kismat phir kahan sanwaar paoonga
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

ho sake to kabhi mujhe maaf kar dena
ho sake to mere liye
apne aansoo khud ponch lena
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena 

 2.  Urdu Shayari - Urdu Sher - Love Urdu Shayari - Love Hindi Shayari



Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon

Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar Avi.... phir se dekhye

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon 

3. Urdu Sher - Urdu Shayari - Office Funny Shayari




Boss:
Arz kiya hai......... .........

Kaam hote hain............... ...
Galtiyo ka sama hota hai................ ......... .
Aise mausam mein hi to PERFORMANCE jawan hota hai.... ........
Dil ki khunnas BOSS jabaan se nahi kehte............... ...
Ye fasana to appraisal mein bayan hota hai.... .....


Employee's reply...
Arz kiya hai......... .....

Appraisal hote hain.........
Disappointment ka sama hota hai... ....
Aise mausam mein hi to ATTRITION jawan hota hai.......
Dil ki khunnas HUM jabaan se nahi kehte... ....
Ye fasana to resignation se bayan hota hai........ 


4. Urdu Shayari - Love Urdu Sher - Urdu Ghazal - Farq Sirf Itna Sa Tha




Farq sirf itna sa tha, US ki doli uthi meri maiyat uthi,
phool US per bhi they, phool mujh per bhi they,
mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the,
Un ka hansna wahan, in ka rona yahan,
sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they,
Do qul US k perhey, do qul mere perhey,
Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha,
WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya,
WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya,   

 Farq sirf itna sa tha usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya…. 


5Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari



Koi hath nahi khali hai
Ye nagri kaisi hai
koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai
Uska bhi kuch haq hai aakhir
Usne mujhse nafrat ki hai
Phool dawa jaise mahke hai
kisi bimar ki subah hui hai
Jaise sadiyan beet chuki ho
Phir bhi aadhi raat abhi hai
Kaise kategi tanha tanha
Itni sari umer padi hai
Hum dono ki khub nibhegi
Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai 

6.   Muktalif Urdu Shayari - Urdu Sher


dil mein ho zaroorat to mohabbat nahi milti,
khairat mein itni badi daulat nahi milti.
kuch log un hi shahar mein humse khafa hain,
har ek se to apni tabiyat nahi milti.
dekha tha jise maine koi aur tha shayad,
vo kaun hai jisse teri surat nahi milti.
haste huye chehron se hai baajar ki zinat,
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milti. 

7.    Urdu Shayari - Sad Urdu Shayari - Urdu Shayaris


Itni muddat baad milay ho!
Kin sochon mien gum phirtay ho?
Itnay khaif kion rahtay ho?
Her aahat say darr jatay ho
Taiz hawaa nay mujh say poocha
Rait per kia likhtay rahtay ho?
Kaash koi hum say bhi poochay
Raat gaye tak kion jagay ho?
Mien darya say bhi darta hon
Tum darya say bhi gahray ho
Kaun si baat hai tum mien aisi
Itnay achay kion lagtay ho?
Peechay murr kar kion dekha tha
Patthar ban kar kia taktay ho
Jao jeet ka jashan manao
Mien jhoota hon tum sachay ho
Apnay shahar kay saray logon say
Meri khatir kion uljhay ho
Kahnay ko rahtay ho dil mien
Phir bhi kitnay duur kharay ho
Raat humien kuch yaad nahi tha
Raat buhut hee yaad aye ho
Hum say na poocho hijar kay qissay
Apni kaho abb tum kaisay ho
Faraz tum badnaam buhut ho
Jaisay ho phir bhi achay ho


8.   Urdu Shayari-Urdu Ghazal-Judai Shayari

Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta
Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta

Chahta hu main tujhe aaj bhi
Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin
Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta

Jo kuch Mila hai Usi me khush hun
Tere liye Khuda se takrar nahi karta

Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim
Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta.